Hum Honge Kamyab (We shall Overcome)

{mosimage}presented by the fom kolkata at the All India FOM Meet 2009.

The play begins with a look at an ordinary Indian family.  Although their lives seem to be fine, we quickly learn that there may be cause for concerns for the father's health.  We are taken through the events that show how the family understands and copes with distressing news and how the support of friends and the community help them lead normal lives.

SCENE 1 – AROUND THE DINING TABLE

Characters: Navin,Stuti, Pooja, Samiran
(The family is seated at the dining table.
Seating order – from Left to Right: Navin, Stuti, Pooja & Samiran )

SUTRADHAR:
Yeh ek aam ghar hai – Hindustan main kahin bhi ho sakta hai , Hindustan main kyun, duniya mein kahin bhi ho sakta hai
Navin, Stuti Pooja aur Samiran ka ghar – raat ka khana ho raha hai , bacche ke beech ched chaad ho rahi hai . Aiye, dekhen aaj raat yahaan pe kya maamla hai

(Samiran and Pooja playfully arguing)
Samiran : Mamma dekho na Pooja ne phir mujhe paav mara – really , bilkul befkoof hai
Pooja : Mamma befkoof kaun hai – isne apne jhoothe haath lagaya roti ko aur jab maine dekha mujhe laath mara –
Stuti : Arrey please yeh kyaa ho raha hai , khaana khao aur jao home work complete karo
Samiran : Ma yeh to bilkul nahi padhti hai jab dekho TV TV TV
Pooja : Look who is talking , mujhe to chance hi nahi milta hai Samiran hi always cricket cricket karke remote cheen leta hai
Navin (agitated, clutching his stomach): Chup karo bachon mein to ek dum fed up ho gaya ho is tu tu mein mein se – kya thodi sa bhi shanti nahi milegi ?
Samiran : Papa please mujhe next week cricket match dekhne le jao na , please
Pooja : No Papa aapne promise kiya tha aap hamein Science Centre le jayenge; kitne din se humne kuch bhi maje wala kaam kiya hi nahi
Stuti : Papa ko aaj kal kise cheez ke liye na time ha na mood – chalo, chalo bahut ho gaya
Samiran : mein to jaa raha hoon internet check karne ke liye – kam se kam wahan yeh Pooja mujhe tang nahi karegi – oh girls !! kuch nahi aata inko
Pooja : Puts tongue out and says nyaaaaaaahhhhh!!
Navin (loses his temper and shouts …): Bachhon – bas bahut ho gaya
Stuti : OK, OK ….mere to teen bachhe hai , eesh !! chalo chalo
(children exit – stage right)

SCENE 2 BEDROOM

Characters: Navin, Stuti
(Navin is seated on the bed, reading a novel.
Stuti is seated on a chair next to the side table and combing her hair. There are a few clothes on the bed that she folds and keeps aside during the course of her interaction with Navin.)

SUTRADHAR
Navin thaka hua hai and apni biwi ki baton mein koi dilchaspi nahi dikhata hai . Stuti ko bahut bura lagta hai ki Navin itni berukhi se uski har baat taal deta hai. Navin kehta hai ki uski tabiyat theek nahi rahti hai aur kuch dinon se isi liye who is tarah se majboor hai.
Stuti samajj jaati hai aur Navin ko hosla dekar kehti hai ki kuch nahi hoga , aaram se so jayen.
Stuti : You know bachhe theek keh rahe hai; aaj kal aap bahut lazy ho gaye ho, bas office, ghar, office ghar .. kisi cheeez mein interest hi nahi hai – dekho mera naya hair style par bhi comment nahi kiya
Arrey , you know what, Neel ke bhai ki shaadi hai na aur I am going to wear my new sari for that – app bhi who orange kurta hi pehenna – same rang mein hum kitne stylish dikhenge
(Navin is by now looking totally bored and upset and indifferent)
Stuti : Naviiiiiiiiiin !!! aap sun raho ho ke nahi , bas main hi bolti ja rahi hoon ; kya hua , bachon se upset ho kya ?
Navin : Please Stuti, tum to bachon se bhi kharab ho- mujhe do minute akela chodo na , all the time talk talk — saree , hair style.
Idhar main itna thak gaya hoon; left side mein kuch din se dard bhi ho raha hai and you know , ab jab maine brush kiya to (mooh se khoon nikal aya) bleeding bhi hua
Stuti : Oh Navin, pehle kyon nahi bataya ? Aachha ab so jao , main bhi na , aisi hi bolti rahti hoon – kuch nahi, gas hi hoga chalo, good night !! Haan, aur please apna purana toothbrush change karo – soft bristle wala brush lana – kab se kah rahi hoon tooth brush hai ki bathroom saaf karne ka brush hai !!

SCENE 3 AROUND THE DINING TABLE – TWO WEEKS LATER

{mosimage}Characters: Navin, Stuti, Pooja, Samiran, Gilly

(Navin,Stuti and Samiran are seated on the dining table. Navin is looking distracted and trying to read a newspaper, Stuti is knitting and Samiran is playing with his phone. )
SUTRADHAR :
Chaliye , do hafte ho gaye hai , ek bar phir Kumar parivar ke ghar chatle hain.
Bbachhe unke friend ke saath khel mein magan hai aur phir apne Papa ko ched rahe hai ki is tarah moonh latkakke kyon baithe hain. Lekin is baar sab ko lagta hi hai ki kuch mamla gambhir ho sakta hai . Stuti nirnany leti hai ki ek baar doctor se milne me koi harj nahi hoga

(Pooja enters from the right with her friend Gilly. )
Pooja : Samiran, yeh internet mein aisa kya hai ki tum cricket bhi nahin dekhto ho aaj kal
Samiran : Arrey, internet main, ghar baithe poori duniya ki khabr mil sakti hai – aaj Singapore mein kya temperature hai ya New York mein kal snow hoga kya ? Even cricket match dekh sakta hoon –who wants your TV now !!
Pooja : To isi liye tum ab Papa ko tang nahi karte ho – match dekhne le jaao karke na? Papa, kya hua aap kuch nahi bolte ho ; aapko maloom hai meri friend Gilly ki birthday par usko ek puppy dog gift mein mila , Papa please muhje bhi ? Pleease???
Stuti; Pooja, Samiran , see Papa bahut thak gaye hai , ab bas karo, unko sone do –Gilly beta , ghar chalo aur Mummy ko bolo Pooja zaroor ayaegi tumhari party mein
(All the children exit stage right.)
Stuti : Navin, bahut ho gaya , chalo mujhe lagta hai ab hamein doctor ke paas jaana chaiye . Kuch na kuch kahke baat ko aur nahin talenge
Navin : Hey, zindagi mein kabhi bhi doctor ke pas jana pada hai ?– ab itni si takleef ke liye mat bore karo –bas mujhe aaram ki zaroorat hai aur kuch nahin
Stuti :Navin , bas ek baar meri baat maano , mujhe lagta hai is tarah hamein symptoms ko ignore nahi karna chaiye ; bas –ek visit aur phir no problem. (Pata to chale kya baat hai) Aur hamare family physician to itne acche hain-jaldi hi appointment mil jayegi
Navin (getting up from the chair and walking towards the audience): OK OK; chalo phir tumhi Dr Koner ko kal phone karo – kal shaam ko mein jaldi aoonga office se – tchah ! What a problem all this is
Stuti (Facing the audience for emphasis): For your good heath nothing is a problem – tumhari sehat ko salamat rekhne ke liye kuch bhi takleef nahi ho sakta hai. (repeat in Bangla)

SCENE 4 AT THE FAMILY DOCTOR’S CLINIC THE NEXT DAY

Characters: Dr Koner, Navin, Stuti

SUTRADHAR
Doctor poori jaanch karke a blood test lene ko kehte hai . Ab Navin hi Stuti ko smajha kar himmat de raha hai – bas ek maamuli si test hi hai . Lekin phir bhi is test ka nateeja to baki hai.

(Dr.Koner enters the room from behind the separator, followed shortly by Navin who tidies up his clothes and wears his jacket hanging from the chair)
Dr Koner : Yes , the discomfort in the abdomen is because your spleen is enlarged . Ap ka spleen jo hai , soojha hua hai aur yeh normal nahi hai .
Navin : Oh ! main to soch raha that kuch gas ka problem ho sakta hai ?
Stuti : Dr bahut din se inko weakness hai aur khana bhi theek se nahi kah rahe hain –ye pain to bahut disturb karta hai – kya ho sakta hai?
Dr Koner : Acha kiya jo aap leke aye mere pass Mrs Stuti , ab blood test karte hain to pata chalega yes kyon ho raha hai. Uske pehle main kuch nahi bol sakta hoon ; lekin itna serious kyon ho rahe ho ? bas ek routine test hi hai .

SCENE 5 NEXT DAY. SAME LOCATION

{mosimage}Sutradhar :
Yeh to bahut bada dhakka hua. Dr Koner yeh keh rahe hai ki is blood test se yeh zaahir hai maamla kuch serious hai aur unhe lagta hai Navin aur Stuti ko ek specialist se milna chahiye. Navin ko ek tarah ka blood cancer ho sakta hai – spleen enlarged like this and blood tests ka result yeh hi bata raha hai
Stuti aur Navin ko kuch samajh mein nahi aarahaa hai –ek doosre ki haath pakadkar, ek doosre se is khabar ko samajhne ki takkat dhundte hai aur ghar chalte hain

ACTION NO DIALOGUES
(Dr.Koner has an open a file before him. He gestures at it and explains the facts while Navin and Stuti look on. Navin looks shocked and and Stuti gets up from her chair. She walks around to where Navin is sitting and comforts him. The scene ends with both Dr. Koner and Stuti standing over Navin’s seated figure.)

SCENE SIX LIVING ROOM

Characters: Navin, Stuti, Pooja, Samiran, Neel – family friend

SUTRADHAR
Pati aur Patni donon pareshaan hai aur apne kareeb ke dost se salaah lene ki sochte hai. Dost aakar yehi kehte hai ki accha kiya doctor ke pass jo gaye aur family doctor ki sarahana karte hain ki unhone bhi achii salaah di .
Dost ke aane se ghar ka mahoul halka ho jaata hai. Bachhe jinki samajh main kuch aa hi raha tha who bhi shaanth ho jaate hai . Unhe bhi baton mein shaamil karke unki pareshhani kum ho jaati hai. Unse kaha jaata hai kiinternet se is bimari ke bare mein kuch jaan kari kyon na dhoond layen woh
(Navin and Stuti are seated on the sofa/chairs. The children are sitting on the floor and playing a boardgame.)
Stuti : Navin , main Neel ko phone karne wali hoon
Samiran : Ma, kya hua , Papa aap ok to hai na ? Mein jaon… Neel Uncle ko upar se bulane ke liye ?
Navin : Jao beta , abhi disturb mat karo, Pooja ko leke apne room mein jao
Stuti : on phone ….Hullo, Neel Bhaiyya , ghar mein ho na , jara neeche aa sakte ho , nahi kuch salaah lene tha aapse ; thank you bhaiyya.
Chalo, bacchon , TV dekho ya kuch karo
(Pooja and Samiran get up to leave the room.)
Pooja (facing the audience): Kuch to problem hai ; Ma hamein TV dekhne ko bol rahi hai
(Door Bell rings and Stuti goes to bring Neel in from stage right)
Neel : Navin , Stuti kya hua , Pooja Samiran kahan hai ? sab theek to hai ??
Stuti : Neel Bhaiyya
..looks at Navin and makes a gesture of despair and tries to stop her tears
Neel , aap kisi achhi cancer specialist ko jaante ho ?
Neel : Cancer specialist ? Kyon kya hua
Navin : Gets up and puts his arm around Stuti Neel , kya hua hai na , ek problem hai – array aise hi Dr Koner ke pass gaye ek check up ke liye and unhone to ek bombshell daal diya
Stuti : Blood test karvaya aur kehte hain ki CML hai – blood cancer. Chronic Myeloid Leukaemia (reads report)
Navin : Haan, blood cancer; can you believe? Lagta hai kya mujhe dekhke ki mujhe cancer hain? Bola hain oncologist ke paas jao, cancer specialist. Ek chitthi likhe diya hai.
{mosimage}Neel : Hey, hey….shaant ho jao ; haan mein jaanta hoon ek bahut ache specialist ko , unse appointment lenge. Lekin pehle batao yeh sab kaise hua
(Pooja and Samiran come quietly into the room and sit next to Navin.)
Stuti : Samiran !! Pooja !!
Neel : Bhabhi , rehne do unko ;
Stuti : Lekin , bachhe hain .
Navin : Haan , rehene do – humse hi sunenege to achha hai – idhar udhar se pata chal gaya to aur pareshhaan ho jayenge . Hum unko sahi sahi batayenge
Neel : Pooja , aao mere paas aao – Gilly ki puppy dog ko dekha ? Samiran, suno
Leukemia kya hai jaante ho ?
Samiran : Haan ek type ka blood cancer na ?
Navin : Beta , mein keh raha tha meri tabiyat theek nahi rehti hai ? Ma aur mein doctor se milne gaye the aur keh rahe hai ki mujhe cancer hain .
Pooja (going over to Stuti) : cancer ? lekin Ma kaise / kyon ?
Samiran : Kya kaise ? hameshah foolish questions poochti ho – kisi ko nahi malloom cancer kyon hota hai . Bas hota hai . Hamare class mein pichale week hi hamari Science Miss kuch iske bare mein baat kar rahi thi ..Pooja, chalo mein tumhe computer pe dikahta hoon ….
Neel (On the phone): Hullo, Dr Sheshadhari ? Hullo Sir – disturb nahi kar raha hoon? Sir mere bahut close dost aur padosi ke liye appointment chahiye ..yes sir ,yes
Sir family Dr ne bola kuch CML …ok , theek hai , kal chaar baje ; thanks sir
Chalo – that is done – Dr Sheshadari best hai –bhabhi cheer up , jaise aap best fish curry banate ho na waise hi yeh best hain apne field mein . Bahut senior oncologist hai .
Aur aaj kal to cancer ke liye kitne treatment hai – ek se badhkar ek . Dr Koner ne achha kiya ki sahi diagnosis kiya –
Navin : Main to ab bhi vishwas nahi kar sakta hoon – ab kya maloom yeh specialist aur kya treatment karne ko kahega
Stuti : Maine suna hai bahut takleef hoti hain cancer ke treatment se ; bimari se jyada ilaaj problem hain
Navin : Aur kharcha ? Kya karenge ?
Stuti : Main to aage kuch soch bhi nahi sakti hoon.
Neel : Bhabhi – yeh kya, aap to hum sabse himmat wali ho, aap ko sabke liye strong hona chaiye
Stuti : Kuch iske bare mein jaan le to samajh mein kuch aaye na
Neel : Correct – knowledge hi hamara sabse achha takkat hain is ka saamna karne ke liye – kal Dr Sheshadhai hamein iske bare mein aur bataenge na
Samiran : Neel Uncle Kya naam bataya – Leukemia na?
Neel : Arrey dekho bachhe hamse aur smart hain – haan Samiran Chronic Myeloid Leukemia CML – Kuch mila kya Internet mein ?
Samiran : Yes Neel Uncle , dekho na , bahut likha hai iske barey main – idhar likah hai is cancer ke liye ek nayi davaiee bhie hai aur yeh ek magic bullet ki tarah hai – ek jaadu ki goli – Glivec uska naam hai – bahut research ke baad switzerland ki ek company ne banaya hai aur koi bhi cancer drug ke jaisa nahi hai
Navin : Oh! itni badi company yeh davayee banati hai… aur wo bhi foreign mein to bahut mehengi hogi ? Aur humein kaise yeh milega? Neel, Stuti jaise keh rahi hain, mujhe bhi yeh sab sunkar bahut doubt aur confusion ho gaya hain. Kay Karen hum ???
Neel : OK. Meri baat suno , jab tak hum Dr Sheshadari se nahi milenge , kuch asi waisi baat ko lekar chinta nahi karenge – kisi bhi paristhithi ka saamna karne ke liye hamen us ke bare mein poori jannkari chahiye – aadhe adhure jaankari se aur sulajh jayenge – aur jab hamare paas poori aur sahi jaankari hogi to hum ek dum tayyar rahenge na ??? chalo, agree?
(Hugs Navin and Stuti puts her arms around the children )

SCENE 7 AT THE MEDICAL ONCOLOGIST’S CONSULTING ROOM

Characters: Dr Sheshadhari, Navin, Stuti, Neel
SUTRADHAR
Pati Patni ki pareshaan chehhre dekhkar Dr Shaeshadri bahut hi narmi se unhe baithne ko kahte hai ; Dost Neel bhi ijaazat lekar baith jaate hain. Report aur Dr Koner ki letter padhkar kehte hain ki itni pareshhan na hoyen, haan cnacer hai lekin sabse kam khatarnaak Cancer agar kuch hoga to yeh hai woh. Is cancer ke liye sabse achhi davai bhi hai aur use prapt karne liye ek programme bhi hai .

(Everyone is seated –fromleft to right – Navin, Dr.Sheshadri, Neel, Stuti)

{mosimage}Neel : Dr Saheb , aap ne itni jaldi hamein appointment diya , bahut shukriya
Navin and Stuti : Thank You doctor
Dr Sheshadhari : Not at all, not at all, please sit down and let me read your reports
Baitho, mujhe report padhne do ….haan ..CML kya hai aapko maloom hai? Mr Navin yeh blood cancer to hai lekin sabse kam khatra wala cancer . Yeh to bas aapke khoon ka ek condition hai aur aapko iske liye davai laynee padegi taaki aapke blood counts jo hai control mein rahe
Stuti : Magar Dr yeh cancer hai – to yeh jaan leva hai na aur hamare bachhe …
Dr Sheshadhari : Mrs Navin , aap ko khamakama chinta ho rahi hai –aaj kal medical science ne bahut tarakki kar li hai aur cancer se is tarah darne ki koi zaroorat nahi aur aap ko bachhon ke liye bhi koi chinta karne ki zaroorat nahi ; na yeh hereditary hai na choot ki bimari hai
Neel : Dr Saheb , humne suna isike liye ek nayi davai nikli hai ; Bahut acchi davai hai , kya yeh baat sahi hai?
Dr Sheshadhari Of course , isi liye maine bataya ki yeh sabse achhi cancer hai .
Navin : Lekin humne yeh bhi suna ki davai bahut mehengi hai ; hum kaise afford karenge yeh davai?
Dr Sheshadhari : Dekho, jo company yeh davai banati hai , unka ek assistance programme hai. Ek Foundation, jiska naam hai, Max Foundation, jo yeh programme sambhalti hai – Mein ek application bhejoonga unko aur phir woh aapko contact karenge.
Haan , ek aur test karna hai jise hum Bone Marrow test bolte hain – yeh programme mein shaamil hone ke liye bhi yeh test zaroori hai
Ise kehte hai Ph +ve test – aapka report +ve aayega to yeh davai aapke upar kaam karegi
Neel : thank you Dr; bas aap hamein bathaiye humein kya karna hai hum sab usi tarah se karenge
Dr Sheshadhari : Bas , aap Max Foundation ke call ke liye rukiye aur of course yeh bone marrow test bhi kar lijiye . Bone Marrow report ke saath aap unko yeh sab kaghzath behjna – is lis mein sab likha hain.
Arrey Mr Navin , aap ko strong aur positive rehna hai , aap aur davai milkar kaam karenge. Dimaag se yeh veham nikaal dijiye ki yeh cancer hai aur jaan leva hai
(Navin smiles – interaction)

SCENE 8 LIVING ROOM

{mosimage}Characters: Navin, Stuti, Samiran, Pooja, Neel
SUTRADHAR
Sab se zaroori test jo Bone Marrow ka hai, is test ko karvaane ke baad Navin Stuti aur Neel waapas ghar aate hain. Neel ka unka iss samay mein saath dena bahut hi mhatvapoorna hai . Navin aur Stuti , donon ka huansla badh jatha hai .

(Navin , Stuti and Neel enter – Navin is holding his back )

Pooja : Papa , kya hua ? aap theek ho na ?
Samiran : Papa ? test hua ? Bone Marrow test – oh baap re ! woh to bahut painful hua hoga?
Navin : Nahi beta , local anesthesia ke saath hua tha lekin haan – thoda abhi dard aur discomfort tho hai
Stuti : Neel Bhaiyya , thank you – aap nahi hote to hum bas…
Neel : Arrey Stuti di kya baat karti ho – itna bhi nahi kar sakta mein kya ?
Chalo , jaise hi yeh report ayega hum Max Foundation ko sab bhejdenge

SCENE 9 AFTER TWO DAYS LIVING ROOM

(Phone rings – Pooja picks up the phone )
Pooja : Hullo ?
Ayeshah : Hullo main Bombay se bol rahi hoon , Mr Navin Kumar hai kya ?
Pooja : Mamma , Papa , Bombay se Phone hai
{mosimage}Navin : Hullo , haan
Ayeshah : Mr Navin , main Ayeshah bol rahi hoon Max Foundation se
Navin : Aapko hamara application aur documents mil gaye ?
Ayeshah : Haan aur Dr Sheshadari se bhi baat ho gayi hai – sab theek hai aur in order hai . Aapke medical reports aur sab douments haemin mil gaye hain.Ap ke application mein sab aapka family aur kaam ka sab information bahut accha sa likha hain – aapka medicine aapko ek week ke andar mil jayega .
Navin : Aur kya karna hai mujhe ?
Ayeshah : Apne Docotor se contact mein rahiyega – jo who kehte hain wohi karna aur appointment ek bhi mat miss karna – jaise hi who haemin inform karenge , aap ki agli davai ka supply aap ko mil jayega . Aur hamare saath bhi touch mein rahiyega.
Navin : Thank you who tho hum zaroor karenge – Doctor ne kaha tha ki mere jaise aur bhi log hai jinko isi tarah se madad mil rahi hai ?
Ayeshah: Jee Haan – agar aap unse milna chahenge to main aapko do teen phone number de sakti hoon aur aap unse zaroor baat kijiyega .
Navin : Ji Bilkul , please dijiyega …
Rajat Da – 93365 34689 ; Anshu 94586 76543 – yes, aur Subir 93343 556874
Thanks , main zaroor baat karoonga inse ?
Ayeshah : Navin ji , aise har sheher mein log hain jo is programme mein shaamil hain aur yehi davai lete hain – humara ek bahut achha group ban gaya hai – Friends of Max – aap chao to aap bhi in sabse contact mein rah sakte ho .
Apko agar interest ho tho Kolkata mein ek meeting hone wala hai jab sab group ke log aane waale hain . Aap Rajat day a Anshu se jaroor is ki details le lena .
Navin : Of course thank you very much

SCENE 10 FRIENDS OF MAX MEETING

{mosimage}Characters: Navin, Stuti, Pooja, Samiran
SUTRADHAR : ONLY ACTION – NO DIALOGUE
Sab formalities ke baad , davai aa jaati hai aur ab har raat , khaane ki table par , ek nayee karvaee shuru ho jaati hai . Pooja ki zimmedari hai ki woh apne Papa ko unki jaadu ki pudiya de.
Navin apne bachon ko apne paas bulata hai ;unhe hanste dekhkar Stuti bhi ab kuch sambhal jati hai . Navin Friends of Max
Group ke barey main ab bahut jaan chukka hai aur Stuti aur bacchon ko bhi unke barey main batata hai.
Ab sabko Friends of Max ke Meeting ka intezaar hai . Davai se Navin ki tabiyath achhi hone lagi hai aur sab counts bhi normal ho gaye hain.

FOM Volunteers converge and a group meeting is in progress – there is much laughter and cheer and sharing of testimonials
(Ayeshah introduces Navin and family to the group)
AYESHAH : Aiye , Navin , Stuti di aap pehli baar aaye hain – Subir aur Sushmita se miliye ….( the four greet each other)

Ayeshah introduces the Testimonial session
{mosimage}{mosimage}{mosimage}{mosimage}

{mosimage}{mosimage} 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Anshu Agarwal, Cedric Mathews, Rajat Majumdar, Nirmesh & Pramod (from Bombay)
Tushar (sings a song)
SUTRADHAR – Concluding comment for FOM Meet
Dukh aur dark ke jo bhayanak badal cha gaye they ab who hat gaye aur unke jagah par umeed ki roshni phail gayee hai. Apne jasie hi jab aur log se milna hua aur dekha ki sab log kis tarah se is chunoauthi ka saamna kar rahe the to Navin aur Stuti ko bhi bahut protshan mila – ab zindagi ka safar ek baar aur bahut suhana lagne lagaa.
(People in the background miming interaction)

 

ACT II

SCENE 1 – SIX MONTHS LATER – POST DINNER SCENARIO AT HOME

Characters: Navin, Stuti, Pooja, Samiran, Sen Family

SUTRADHAR
Kuch mahine aise beeth jaate hain aur aisa lagta hai ki jo guzrar gaya , woh ek sapna tha – lekin kuch dinon se Stuti ke dhyaan mein yeh khyaal aata hai ki Navin kuch khoya sa rehta hai aur pata chalta hai ki who apni davai bhi theek se nahi le raha hai.
Saval karne par Navin yeh kehta hai ki davai ka uspar kuch aisey asar hota hain jis sey woh thang aa chukka hai –aur phir jab uske counts normal hai aur dose bhi nahi badla hai to iska matlab hai woh theek ho gaya hai – baar baar kyon yaad dilate hain sab ki who bimaar hai!! Stuti bahut pareshhan ho jaati hai ….

Pooja : Mamma, ab Papa theek ho gaye kya? Davai ki ab zaroorat nahi hai kya?
Stuti : Papa ko beta, jab tak Dr kahenge tab tak davai lena hai aur davai lete rehenge tho kuch takleef nahi hoga – kyun ? kya hua
Pooja : Mamma, Papa tho aaj kal mujhse davai lete hi nahin hai; kehte hai rakhdo mein baad mein le loonga.
Samiran : Haan Mamma dekho , tablet ka strip tho aise hi pada hai !!
Stuti : Navin , Naveeeeeen ….kya paper ke peeche chup rahe ho ? yeh kya ho raha hai – eeesh !! meri hi galati hain , maine dhyaan hi nahi diya
Navin : Hey, kya halla macha rakha hai – chain se main kuch nahi karsakta kya ? Sab log mere peeche pade ho !!
Stuti : aapke bare mein chinta hai isiliye hum sab pareshaan hai
{mosimage}Navin : bas –bahut ho gaya ; main theek hoon na? Koi problem hai kya ? aap logon ko kya maloom mujhe kitna problem hota hai – kitne din se yeh davai leta hoon…kuch na kuch problem hota rehta hai –kabhi pair mein dard , to kabhi mooh par soojan – ek aad din miss kiya to kuch nahi hoga
Stuti : Navin, aapko yaad nahi hai.. Dr ne kya kaha tha? – davai roj lena hai, ek din bhi miss nahi karna chahiye –please aap kaise bhool sakte ho
Navin : oh please – bas
(The doorbell rings )
Stuti (walking towards to door and looking at Navin): Ab kaun hoga – Navin iske bare mein ab hum aur baat karenge ok?
(Subir, Sushmita aur Sangeeta enter – they are FOM and good friends now with Stuti and Navin. They all greet each other and share pleasantries – Stuti is looking worried and keeps throwing anxious glances at Navin – the children are also quiet.)
Stuti : Sushmita di ! Subir da! Navin , yaad hai , Friends of Max Meeitng mein mile they ? Arrey, kitna achha kiya aap log aaye ……
Sushmita : Bas , ek khush khabari share karna tha – Beti ki shaaadi hai . Socha personally aake milenge
{mosimage}Sangeeta : Hey, Samiran , kya khabar hai – no cricket match today ?
Sushmita : Stuti di kya ho gaya ? Aaj Navin bhi form main nahi hai
Stuti : Arrey please aap hi batao na – yeh davai lene main bahut irregular ho gaye hai aur dekho ab kehte hain ki bilkul theek hai aur nahin lenge
(Stuti, Shushmita and the children move to the back and get seated. Subir and Navin stand in the foreground.)
Subir : Arrey , pichale meeting mein doctor ne kya kaha tha yaad nahi hai ?
Navin, main davai paanch saal se le raha hoon aur aaj tak ek din bhi nahi band kiya – haan kuch side effects hote hain lekin uske liye bhi davai rehta hai – iska matlab yeh thodi hai ki Glivec band kar do… Glivec tho ab hamare liye oxygen jaisa hai . Glivec ne ek jaan leva bimari ko ek manageable condition bana diya hai .
Navin : Subir da , yeh har dam mujhe yaad dilata hai ki mein bimaar hoon – kya mein bimar dikhta hoon ?
Subir : Suno Navin, jis aadmi ko BP hai usey davai band kar dena chahiye kya ?
Navin : bilkul nahi – uska pressure phir high ho jayaega –
{mosimage}Subir : Woh bimaar lagta hai kya ? Davai ek din bhi band nahi karta hai.
Aur jisko sugar ki bimaari hai –woh insulin miss karega kya? Woh bimar lag raha hai kya?
To tum kyon Glivec lena nahi chaate ho? BP ke medicine ka bhi side effect hota hai maloom hai ? Arre kisi bhi medicine ka side effect hota hai – to log davai lena bandh thodi karte hain …
Sangeeta (coming forward towards to Navin): Navin da , Bapa aur Ma keh rahe hain , jab Navin aur Stuti hai to unko mere shaadi ke baare main koi phikar nahi hai – aap donon ko aake Baba aur Ma ka poora help karna hai . Baba tho abhi se nervous ho rahe hain !! Maine kaha Navin Da hai tho kyon aap chinta karte ho – Navinda , please aap promise karo aap davai Papa ki tarah har roj lenge aur meri shaadi mein khub nachenge !!???
Navin : Chalo mein vaada karta hoon – tumhare shaadi mein naachne ke liye mein kuch bhi karoonga – Stuti ? Is shaadi mein tum kaunse rang ki Saree pehenogi? Mere liye matching Kurta zaroor leke aana
(Stuti hugs him and the children also come up to them – Subir , Sushmita and Sangeeta also hold each other)

SCENE 2 – THAT EVENING in the DINING room

SUTRADHAR
Aaiye , ek baar phir hum Kumar parivar ke ghar chalke dekhte hai aaj raat khane ke liye kya bana hai …Navin ne ab jaan liya hai ki davai lene ki kya ahemiyat hai – who samajh gaya hai ki Subir aur parivaaar ka unke ghar aana , ek karishma se kuch kam nahi hain ..


{mosimage}Pooja (holding a tablet and glass of water): Papa , chalo , yeh raha aapka Glivec – magic bullet – main aaj se kuch bhi nahi sunoongi – aapko har roj lena padega
Navin : ok boss – jo hukkum sarkar !!
Pooja : jaldi karo Papa , mera TV show ka time ho raha hai
Samiran : Hey, NOOOO Abhi Cricket highlights start hoga …Poojaaaa…
Pooja : Ma dekho na yeh Samiran …….
(Navin and Stuti just look at each other and smile )

{mosimage}All the cast comes on stage to sing Hum Honge Kamyaab .

 

Credits

      Concept & Story Line Subir Ranjan Sen
      Script & Direction Viji Venkatesh
      Production Design Deepa Venkatesh
      Staging Coordinators  Anshu Agarwal & Poonam Kankani

Acknowledgements

      Ayeshah Dadachanji TMF
      Anshu Agarwal FOM Kolata
      Rajat Mazumdar FOM Kolkata
      Cedric Mathew FOM Kolkata
      Tushar Kanti Ghosh FOM Kolkata
      Nirmesh Prakash FOM Mumbai
      Pramod George FOM Mumbai  
 

CHARACTERS  

{mosimage}Navin – Husband
Played by Navin Agarwal
.
A devoted husband and caring father , Navin is married to Anshu who has been on Glivec for over a year. His passion in life is to encourage their son Akshit's promising tennis talent.  

{mosimage}Stuti – Wife
Played by Stuti Koner
.
Stuti has been on Glivec for the last four years and is one of the shining stars of the FOM Kolkota group. Volunteering her services to the Max India office in Mumbai , Stuti is the crucial link between the office and GIPAP recepients in the interiors of West Bengal  

{mosimage}Pooja – Daughter
Played by Pooja Kankani

Pooja Kankani is the the daughter of Neel and Poonam Kankani, FOM Kolkata core group volunteers. Pooja is a dancer par excellence and was the star of the first ever FOM meeting in Mumbai in 2005

{mosimage}Samiran – Son
Played by Samiran

Samiran Sen , like the character in the play,  is an avid fan of cricket and the internet. He is the son of Subir Ranjan and Sushmita Sen, both FOM Kolkata core group volunteers.

{mosimage}Dr Koner
Played by Subroto Koner

Subroto Koner lovingly called Professor by all teaches Chemistry in the University – kind, gentle and soft spoken he is the solid pillar of strength for his wife Stuti.

{mosimage}Neel  family friend
Played by Neel Kankani

Neel Kankani is one of the dynamic volunteers responsible for keeping the Kolkota FOM group active and inspired. He portrays in this play his real life role of a friend and mentor. He himself has been on Glivec for the last six years.

{mosimage}Dr Sheshadhari
Played by Ramanathan Sheshadhari

Ramanathan Sheshadhari, shy and soft-spoken, Shesh as we all know him has been on Glivec for the last five years. This real life engineer will surprise everyone in his avatar as Dr. Sheshadhari.

{mosimage}Subir da
Played by Subir Ranjan Sen

Subir Ranjan Sen , who conceptualised this play is playfully called Dr Subir da by the group in Kolkata On Givec for more than six years Subir da's knowledge of all matters related to CML and its treatment and his eagerness to share with his peers has earned him the honorary medical title.  

{mosimage}Shushmita
Played by Sushmita Sen

Gracious and charming this Sushmita needs no public title  her home is open anytime for FOM Kolkata to meet in and her sweet smile enough welcome for the lucky visitor.

{mosimage}Sangeeta
Played by Sangeeta Sen

School and College topper , there is no exam that this young lady has not conquered. The apple of her father's eyes , she has made him even prouder , if that can be possible with her plans of giving back to the community by equipping herself with the best degrees that education can offer  

{mosimage}Sutradhar (Narrator)
Played by Bharat Kaul

Bharat needs no introduction and is a well known and loved face in Bengali and Hindi theatre, television and films . He is an invaluable volunteer with Friends of Max